brihat sannata,
vyaktigat sannata,
stabdh sannata,
vichalit sannaata.
peeda hai koi,
kyu nahi bataata.
kshobh hai kiska,
use sataata.
vyomkaaya sannata.
baar baar khokhle tanon mein,
gum ho jaata.
hai kabse icchuk,
koi upaay mit paata.
nidraa pukaarti,
na jeevan bulaata.
use sukh ya dukh,
koi na choo paata.
ghanghor sannata.
prakaash bolon ki,
anginat wo paata.
mook dhwani se,
wo kisko samjhaata?
sannaaton ki bheedh mein,
tanha wo sannata.
arth khojta jidhar,
kewal paata sannata.
kritrim jeevon mein ghulkar,
gaganbhedi anarth pukaarta.
haahakaar ki been bajaata,
duh-saahsi sannata.
akasmaat bhram ke kokh mein,
kinchit lupt ho jaata.
vyakul hridaya ke shor mein,
punar-janm paata.
bheeshan sannata. baawla sannata.
vyangya-kreedasthal ki,
raunak sada badhaata.
astitva mera odhkar,
jhoom uthaa sannata.
the poets of this world shud try being less abstract. hoho. an ode to sannata, shud we call it?
No comments:
Post a Comment