Sunday, December 14, 2003

javed akhtar, as i've always said, has found the golden combo. without being dense on words, he writes light, peppy lyrics, sometimes surprising me with their vivid imagination. KHNH is still hi on my senses, so here's the song for the day:

chizen main rakhke bhool jaati hoon
bekhayaali mein gungunaati hoon
ab akele mein muskuraati hoon

badli hui si meri adaa hai,
kuch to hua hai, kuch ho gaya hai.

pighla 2 hai, dil mera jab se,
accha rehta hai, mood bhi tabse,
hanske milta hoon, aajkal sabse,

khush ho gaya hai, jo bhi mila hai.
kuch to hua hai, kuch ho gaya hai.

rang chamkile, saare lagte hian,
raah mein bikhre, taare lagte hain,
phool ab jyadaa pyaare lagte hain,

mehki hui si, jaise hawa hai,
kuch to hua hai, kuch..

dhyaan ab apna , jyada rakhta hoon,
sochta hoon main, kaisa lagta hoon,
aaina ho to, dekh letaa hoon,

kaisa ye chehra, aise khila hai,
kuch to hua hai, kuch ho gaya hia.

ye nasha jisme, dono rehte hain,
ye neher jisme, dono behte hain,
ho na ho isko, pyaar kehte hain.

pyaar mila to, dil kho gaya hai,
kuch to hua hai, kuch ho gaya hai.


No comments: