Wednesday, February 18, 2004

a complete deja vu song. possibly due to the rupak taal. possibly the raag, possibly the singer. dont know. completely taken in.
and a complete baawra one. very impressive.

movie: hazaron khwaishen aisi
music: shantanu moitra
singer: swanand kirkire

baawra man dekhne chala ik sapna
baawre se man ki dekho, baavri hai baatein
baawri si dhadhkanen hain, baavri hain saansen.
baawri si karvaton se, nindiya kyun bhaage
baawre se nain chaahe baawre jharokhon se
baawre se nazaaron ko taknaa

bawre se is jahaan mein, baawra sa ik saath ho
is sayaani bheed mein, bas haahton mein tera hath ho
baawri si dhun ho koi, baawra ik raag ho
baawre se pair, chaahen bhaawre khayaalon ke
baawre se bol pe hi rakhna

baawra sa ho andhera, baawri khaamoshiyaan,
thartharaati lauh madham, bawri madhoshiyan
bawra ik ghunghta chahe, hole hole bina bataaye
baawere se mukhde se hatna

baawra man dekhne chalaa ik sapnaa.


terribly captivating. another one from the same album - ae sajni. full blown rock bhojpuri number. hoho. they continue to surprise. my affinity seldom declines.

No comments: