Tuesday, September 09, 2003

ab koi darwaza na khulega.
ab na koi comment ka reply hoga.
ab har lafz tanha hogi idhar.
ab deewaan-e-khaas se har insaan begaana hoga.

tum idhar aaoge, to jaana hoga.
teri gali mein dil deewana hoga.
dil ki mast tabiyat dekhkar,
har waaeez parwaana hoga.

gar in baaton pe ho raha ho tumhe ehtaraam,
jiyo tum, karne do humen raam raam.
kuch na soch paane ki humne thaani hai,
chalo aaj ke blog ki yehi kahaani hai.

No comments: