bahaaron ko chaman yaad aa gaya hai,
mujhe wo gulbadan yaad aa gaya hai
aaj saari dilrubaaon ko yaad karta hoon.
apni tanhayee se muhn mod, unki fariyaad karta hoon.
wo, jiski khilkhilaahat jhoomti pawan ko bechain karti ho,
ya wo, jiski divya gambheerta apne kanth mein saagar samaaye ho.
wo, jiske lafzon ki behekti chanchalta, hridaya ko be-kaboo karti,
ya wo, jiski mook muskaraahat saanson mein bechaini bharti.
wo, jinke nayan apne paash mein praanon ko baandh len,
ya wo chakshu-samudra, jisme samaahit hokar chitt hidole le.
wo, jin thirakte hothon ki lagayi aag bujhaaye na bujhe,
ya wo, jin labon ko choo, vyaakul maru-yaatri ki pyaas mite.
wo, jiske pehloo mein shrishti khoyi ho,
ya wo, jise kar-bandhan mein jakad brahmaand aahlaadit ho.
wo, jiske saundarya ka mayur vaanchit ho,
ya wo, jiske aane se mausam ko khumaar aata ho.
No comments:
Post a Comment