Friday, July 18, 2003

deewaaron ki hai shaksiyat yahaan,
aur khidkiyan bolti hain.
jazbaaton ke rau mein behkar,
yahaan roohen bolti, dil kholti hain.

Saturday, July 05, 2003

jalti hui mashaal, nigaahon mein yahaan,
kaho bhasm kar doon ye jahaan?

kyun baandhaa khud ko bandhan mein,
jo rok na saka is krandan se.

bewafa nikle wo to yaad aaya,
jaane kyun unse pehchaan kee.
seene ke daag abhi chupe nahi the,
kyun lagaayi aag veeraan si?

vismit hoon, hairaan bhi,
fir maine dil ko khwahishon ki hawaa dee.

Tuesday, July 01, 2003

an Ode to disappearing blogs

rula ke gaya sapna mera,
ah! aakhir kyun hua ye hasr mera.

Actually as Patrix bhai noted, the quake has indeed left a huge deathtoll. Wo baatein, wo yaadein, kahan kho gayin anjaane bhoot mein. Kuch mitron ke samvad, kuch dushmanon ki saazishen aur kuch beparwahon ki thitholiyan. Kaun le gaya wo sab? Kahan le gaya hoga?
Alas, wo bhi maanav-maatra ki tarah kshan-bhangur tha. Aao, aaj raatri, us gumnaam comment board ko shraddanjali dene ke liye, uski aatma ki shaanti ke liye, kaale poshaak-dhaari behtareen lafzon mein ek doosre ke zonkboards ko rangen. aameen!!